ByDv_17IMAAXJz3

Achanak se ye sochke ajeeb toh lagta hai ki hum 2030 me zinda honge, hamare mata pita ke umar ke honge, shayad hamare bachche honge. Jab me ye sochti hoon, toh ye kalpana karne lagti hoon ki mujhe 2030 me kaisi duniya aur samajh me vaso vas karna hai. Woh akhir kaisa samaj hoga jiske disha me mai kam kar rahi hoon?

2030 tak mai aise duniya me rehna chahti hoon, jahan pe har insaan, jab koi samajik samasya ka samna karta hai, toh sarkar ya koi sanstha ko dosh na de kar ke, ye sochta hai, “Mai is samasya ka samadhan karne ke liya kya kar sakta/sakti hoon?” Mere is duniye mey har insaan samaj ka  bhala karne vala krantikari hoga.

Mere is sapne ko pura karne ke liy hume do chize karni hongi. Ek, hume apne bachcho ko samaj badalna sikhana padega. Jaise who vidyalaya me bhasha aur ganit sikhte hai, waise hi unko nishpaksh netritva, sammilit kam karna, doosre insaan ke prati sahanubhuti jaise vishist gun sikhana padega. Aur mere is sapne ka dusra hissa proudyogiki pe nirbhar hai. Hume aise proudyogiki aavishkar karne padenge jinke zariye har insan samaj badalne ke kabil ho sake.

Aaj 2014 me, jab koi jawan raste ke kone me kachra dekhta hai, woh nagar palika ko dosh deta hai aur agey chalta hai. Jab koi jawan insaan ko college me bharti nahi milta hai, ya naukri nahi milta hai, woh sarkar, samaj, apne mata-pita, apne kismet, sabko dosh deta hai.

Lekhin mera ye sapna hai ki 2030 me, jab yah insan raste me kachra dekhta hai, uska pehla soch hai, “Mai iske bare me kya kar sakti hoon?” Phir who apne netritva istamal karke apne dosto ko saath lati hai, kachra saaf karti hai. Woh apne smart phone se kachra saf karne ke pehle aur baad vale tasvir nagar palika ko bhejti hai, aur unko jaan kari deti hai ki ye jagah saaf rakha jaye.

Jab isi nau jawan ko college me paise ki kami ki vajah se bharti nahi milta, woh pehle ye sochta hai, “Mai is samasya ko suljhane ke liye kya kar sakta hoon?” Woh bhir vita poshan (crowd-funding) website ke madhyam se apni college ki shulk ki vyavasthha karta hai.

Shayad mera ye sapne aapko na mumkin lag raha hai. Shayad aap mujhpe has rahe hain. Lekin mera ye kathor vishwas hai ki mera sapna sach ho sakta hai. Hum toh adha rasta aa chuke hain. Hamare paas smart phones, internet aur bhir vita poshan jaise upkaran abhi hi uplabht hain. Bas humko aur aadha rasta jana hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *